zindagi ko ham tamasha kyun banaaye
jeena hai to fir fasaana kyun banaaye
raat mein jab jagmagate hain sitaare
hosh khokar ham sitaara kyun banaaye
ham bhi hissa hain zamaane ka qasam se
to naya sa ik zamaana kyun banaaye
jo hamaari zindagi barbaad kar de
aise logon ko sahaara kyun banaaye
ज़िन्दगी को हम तमाशा क्यों बनाए
जीना है तो फ़िर फ़साना क्यों बनाए
रात में जब जगमगाते हैं सितारे
होश खोकर हम सितारा क्यों बनाए
हम भी हिस्सा हैं ज़माने का क़सम से
तो नया सा इक ज़माना क्यों बनाए
जो हमारी ज़िन्दगी बर्बाद कर दे
ऐसे लोगों को सहारा क्यों बनाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz
our suggestion based on Meem Alif Shaz
As you were reading Partition Shayari Shayari