jal nahin hai to gira bijli magar barsaat to kar | जल नहीं है तो गिरा बिजली मगर बरसात तो कर

  - Divya 'Kumar Sahab'

jal nahin hai to gira bijli magar barsaat to kar
lad bhale aakar tu mujhse kam se kam tu baat to kar

tu gaya jis shaam se phir shaam ye guzri nahin hai
ab chalo taare nahin to banke jugnoo raat to kar

chaand suraj aur taare rakhle duniya dar nahin hai
nain kaafi hain tere tu nain se lamaat to kar

tu sajaale mera sehraa main lagaaloon teri mehndi
main chalunga saath tere tu idhar baaraat to kar

mere seene mein chhupa tu ab bataata kyun nahin hai
tu dhadkata hai idhar chal ab dhadak isbaat to kar

जल नहीं है तो गिरा बिजली मगर बरसात तो कर
लड़ भले आकर तू मुझसे कम से कम तू बात तो कर

तू गया जिस शाम से फिर शाम ये गुज़री नहीं है
अब चलो तारे नहीं तो बनके जुगनू रात तो कर

चाँद सूरज और तारे रखले दुनिया डर नहीं है
नैन काफ़ी हैं तेरे तू नैन से लमआत तो कर

तू सजाले मेरा सेहरा मैं लगालूँ तेरी मेहंदी
मैं चलूँगा साथ तेरे तू इधर बारात तो कर

मेरे सीने में छिपा तू अब बताता क्यों नहीं है
तू धड़कता है इधर चल अब धड़क इसबात तो कर

  - Divya 'Kumar Sahab'

Sooraj Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Divya 'Kumar Sahab'

As you were reading Shayari by Divya 'Kumar Sahab'

Similar Writers

our suggestion based on Divya 'Kumar Sahab'

Similar Moods

As you were reading Sooraj Shayari Shayari