aadmi ye kyun samajh paaya nahin
ta qayaamat chalti ye kaaya nahin
kya hua jo yaar hans paaya na main
haan magar gham ko kiya jaaya nahin
shahr to pehle se hi veeraan tha
gaav mein bhi ped ki chaaya nahin
kaise chalta hoga us bacche ka ghar
jiske sar par baap ka saaya nahin
ro padi ye sochkar beemaar maa
dekhne beta mera aaya nahin
raam ne masjid koi todi nahin
shaikh ne mandir koi dhaya nahin
bech denge ye lutere mulk ko
ye haqeeqat hai koi maaya nahin
taan chhedi hai mukhalif zulm ke
raag darbaari kabhi gaaya nahin
aadhi roti khaai par eimaan ki
bechkar eimaan kuchh khaaya nahin
daar par chadh jaaunga sach bolkar
jhooth ka chehra mujhe bhaaya nahin
har qadam par chot khaai hai kumar
munh magar ik din bhi latkaaya nahin
आदमी ये क्यों समझ पाया नहीं
ता क़यामत चलती ये काया नहीं
क्या हुआ जो यार हँस पाया न मैं
हाँ मगर ग़म को किया जाया नहीं
शह्र तो पहले से ही वीरान था
गाँव में भी पेड़ की छाया नहीं
कैसे चलता होगा उस बच्चे का घर
जिसके सर पर बाप का साया नहीं
रो पड़ी ये सोचकर बीमार माँ
देखने बेटा मेरा आया नहीं
राम ने मस्जिद कोई तोड़ी नहीं
शैख ने मन्दिर कोई ढ़ाया नहीं
बेच देंगे ये लुटेरे मुल्क को
ये हक़ीक़त है कोई माया नहीं
तान छेड़ी है मुख़ालिफ़ ज़ुल्म के
राग दरबारी कभी गाया नहीं
आधी रोटी खाई पर ईमान की
बेचकर ईमान कुछ खाया नहीं
दार पर चढ़ जाऊँगा सच बोलकर
झूठ का चेहरा मुझे भाया नहीं
हर क़दम पर चोट खाई है कुमार
मुँह मगर इक दिन भी लटकाया नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kumar Aryan
our suggestion based on Kumar Aryan
As you were reading Chehra Shayari Shayari