jhooth ko lab pe laana nahin chahiye
sach kabhi bhi chhupaana nahin chahiye
jo bhi dil ko samajhta nahin dil kabhi
usse dil ko lagana nahin chahiye
vo jo khaabo mein aaye rulaaye tumhein
usko apna banaana nahin chahiye
apne vaade se jo bhi mukar jaaye na
usse rishta badhaana nahin chahiye
jo bhi tere liye roz roye hanse
uske dil ko dukhaana nahin chahiye
sochta hoon use uska apna mile
jhooth se ghar basaana nahin chahiye
tumko jaana hai jaao ijaazat hai jaan
mujhko koi bahaana nahin chahiye
झूट को लब पे लाना नहीं चाहिए
सच कभी भी छुपाना नहीं चाहिए
जो भी दिल को समझता नहीं दिल कभी
उससे दिल को लगाना नहीं चाहिए
वो जो ख़्वाबों में आए रुलाए तुम्हें
उसको अपना बनाना नहीं चाहिए
अपने वादे से जो भी मुकर जाए ना
उससे रिश्ता बढ़ाना नहीं चाहिए
जो भी तेरे लिए रोज़ रोए हँसे
उसके दिल को दुखाना नहीं चाहिए
सोचता हूँ उसे उसका अपना मिले
झूट से घर बसाना नहीं चाहिए
तुमको जाना है जाओ इजाज़त है जाँ
मुझको कोई बहाना नहीं चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kumar Aryan
our suggestion based on Kumar Aryan
As you were reading Mehboob Shayari Shayari