chahta tha main jise mujhe vo jab mila nahin
us ke baad mere dil ko koi murtaza nahin
ishq mein ye zakham mujhko gar mile na hote to
aaj apne ghar mein baith kar main cheekhta nahin
main agar raqeeb ban gaya hoon aapka to phir
aap bad-dua karo mere liye dua nahin
ishq mein qareeb rahna chahta tha aapke
mujhko jo mila hai aap se vo faasla nahin
baar baar be-wafaai ka ye dard kyun sahen
door rahna mujhse itna mujh mein hausla nahin
har dafa mujhe vo apni bekasi bataata hai
par kabhi vo mujh se mera haal poochta nahin
jaante ho kis tarah se baat kar rahe ho tum
is tarah kabhi vikaas ko pukaarna nahin
चाहता था मैं जिसे मुझे वो जब मिला नहीं
उस के बाद मेरे दिल को कोई मुर्तज़ा नहीं
इश्क़ में ये ज़ख़्म मुझको गर मिले न होते तो
आज अपने घर में बैठ कर मैं चीख़ता नहीं
मैं अगर रक़ीब बन गया हूँ आपका तो फिर
आप बद-दुआ करो मेरे लिए दुआ नहीं
इश्क़ में क़रीब रहना चाहता था आपके
मुझको जो मिला है आप से वो फ़ासला नहीं
बार- बार बे-वफ़ाई का ये दर्द क्यों सहें
दूर रहना मुझसे इतना मुझ में हौसला नहीं
हर दफ़ा मुझे वो अपनी बेकसी बताता है
पर कभी वो मुझ से मेरा हाल पूछता नहीं
जानते हो किस तरह से बात कर रहे हो तुम
इस तरह कभी विकास को पुकारना नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vikas Shah musafir
our suggestion based on Vikas Shah musafir
As you were reading Ishq Shayari Shayari