jisko tum shauk se chaaho vo ghazal kahni hai
bazm mein tum bhi chale aao ghazal kahni hai
lab wa rukhsaar pe teri nahi likhna hai abhi
zikr jismein meri maa ka ho ghazal kahni hai
door se sirf sadaaein hi to aati hai sanam
tu jo aaghosh mein aaye to ghazal kahni hai
meri qismat mein sabak pyaar ka ab hai hi nahi
meri qismat mein hai kahni so ghazal kahni hai
ek se ek ghatta ranj na kar tu iska
tu hunar-mand hai tujhko to ghazal kahni hai
जिसको तुम शौक से चाहो वो ग़ज़ल कहनी है
बज़्म में तुम भी चले आओ ग़ज़ल कहनी है
लब व रुख़्सार पे तेरी नही लिखना है अभी
ज़िक्र जिसमें मेरी माँ का हो ग़ज़ल कहनी है
दूर से सिर्फ़ सदाएँ ही तो आती है सनम
तू जो आग़ोश में आये तो ग़ज़ल कहनी है
मेरी क़िस्मत में सबक़ प्यार का अब है ही नही
मेरी क़िस्मत में है कहनी सो ग़ज़ल कहनी है
एक से एक घटा रंज न कर तू इसका
तू हुनर-मंद है तुझको तो ग़ज़ल कहनी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rajnish Vishwakarma
our suggestion based on Rajnish Vishwakarma
As you were reading Mehfil Shayari Shayari