ik kisse se guzre to kirdaar bane | इक किस्से से गुज़रे तो किरदार बने - Pradeep Rathore

ik kisse se guzre to kirdaar bane
sabkuchh bankar dekh liya phir yaar bane

hai ye sitam main roya to tanqeed mili
jab vo roee to nazm hui ashaar bane

main un aankhon ke kaajal se darta hoon
jo bahne lage jo jaakar hathiyaar bane

ghar bas ghar nai hota ik jad hoti hai
aur makaan jismein chaukhat deewaar bane

इक किस्से से गुज़रे तो किरदार बने
सबकुछ बनकर देख लिया फिर यार बने

है ये सितम मैं रोया तो तनक़ीद मिली
जब वो रोई तो नज़्म हुई अशआर बने

मैं उन आँखों के काजल से डरता हूँ
जो बहने लगे जो जाकर हथियार बने

घर बस घर नईं होता इक जड़ होती है
और मकाँ जिसमें चौखट दीवार बने

- Pradeep Rathore
0 Likes

Ghayal Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Pradeep Rathore

Similar Moods

As you were reading Ghayal Shayari Shayari