mujhko hi waqt jo deta tha tha kabhi | मुझको ही वक़्त जो देता था, था कभी

  - Saahir

mujhko hi waqt jo deta tha tha kabhi
ishq mein main bhi tha mubtila tha kabhi

sher tasveeron se kehta tha tha kabhi
ek chehre ko shab bhar likha tha kabhi

us taraf kyun nahin jaate ho aajkal
vo to ghar jaane ka raasta tha kabhi

yaar jugnoo mohabbat rahein titliyan
ishq mein ek ye qaayda tha kabhi

ishq nuqsaan hai kehne waale bata
ishq nuqsaan ya faayda tha kabhi

aankh mein rahne waale bata sakte the
aankh mein ghar kisi ka bana tha kabhi

dekh ke khud ko rota hoon main aajkal
aaina mujhko achha laga tha kabhi

qais ka sunke ye sochta hoon main ab
haal waisa mera kya hua tha kabhi

paani mein tairta hai ye jo khud-b-khud
paani mein zism ye doobta tha kabhi

मुझको ही वक़्त जो देता था, था कभी
इश्क़ में मैं भी था मुब्तिला, था कभी

शेर तस्वीरों से कहता था, था कभी
एक चेहरे को शब भर लिखा, था कभी

उस तरफ़ क्यों नहीं जाते हो आजकल
वो तो घर जाने का रास्ता, था कभी

यार जुगनू, मोहब्बत रहें तितलियाँ
इश्क़ में एक ये क़ायदा, था कभी

इश्क़ नुक़सान है कहने वाले बता
इश्क़ नुक़सान या फ़ायदा, था कभी

आँख में रहने वाले बता सकते थे
आँख में घर किसी का बना था, कभी

देख के ख़ुद को रोता हूँ मैं आजकल
आइना मुझको अच्छा लगा, था कभी

क़ैस का सुनके ये सोचता हूँ मैं अब
हाल वैसा मेरा क्या हुआ, था कभी

पानी में तैरता है ये जो ख़ुद-ब-ख़ुद
पानी में ज़िस्म ये डूबता, था कभी

  - Saahir

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saahir

As you were reading Shayari by Saahir

Similar Writers

our suggestion based on Saahir

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari