apne gham ko main yun badhaata hoon | अपने ग़म को मैं यूँ बढ़ाता हूँ - Rohit tewatia 'Ishq'

apne gham ko main yun badhaata hoon
usse milne khushi se jaata hoon

ek deewaar girti jaati hai
ek tasveer jo hataata hoon

ye bhi kuch kam nahin ki sabko main
kaam padne pe yaad aata hoon

koi dekhe udaas hoon kitna
jab udaasi mein muskurata hoon

chup sa rahne laga hoon logon mein
shor tanhaai mein machaata hoon

milna mumkin nahin haqeeqat mein
so use khwaab mein bulaata hoon

yun to darta nahin zamaane se
vo jo dekhe to kaanp jaata hoon

mujhko vo bhi duba ke jaate hain
main jinhen tairna sikhaata hoon

sar pe chadhti hai jab mere duniya
maa ke kadmon mein baith jaata hoon

maine kya shauq paal rakhe hain
ishq karta hoon dil jalata hoon

अपने ग़म को मैं यूँ बढ़ाता हूँ
उससे मिलने ख़ुशी से जाता हूँ

एक दीवार गिरती जाती है
एक तस्वीर जो हटाता हूँ

ये भी कुछ कम नहीं कि सबको मैं
काम पड़ने पे याद आता हूँ

कोई देखे उदास हूँ कितना
जब उदासी में मुस्कुराता हूँ

चुप सा रहने लगा हूँ लोगों में
शोर तन्हाई में मचाता हूँ

मिलना मुमकिन नहीं हक़ीक़त में
सो उसे ख़्वाब में बुलाता हूँ

यूँ तो डरता नहीं ज़माने से
वो जो देखे तो काँप जाता हूँ

मुझको वो भी डुबा के जाते हैं
मैं जिन्हें तैरना सिखाता हूँ

सर पे चढ़ती है जब मेरे दुनिया
माँ के कदमों में बैठ जाता हूँ

मैंने क्या शौक़ पाल रक्खे हैं
इश्क़ करता हूँ दिल जलाता हूँ

- Rohit tewatia 'Ishq'
1 Like

Promise Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rohit tewatia 'Ishq'

As you were reading Shayari by Rohit tewatia 'Ishq'

Similar Writers

our suggestion based on Rohit tewatia 'Ishq'

Similar Moods

As you were reading Promise Shayari Shayari