ek kamre si zindagi meri | एक कमरे सी ज़िंदगी मेरी

  - Sachin Sharmaa

ek kamre si zindagi meri
mez kursi se dosti meri

mohtaram jaun yaad aate hain
cheekhti hai ye khaamoshi meri

jaun ko yaad karta hoon hardam
asl mein hai ye naukri meri

jaun ko sunna sher kehna hai
jaun se hi hai aashiqi meri

jaun sa tajurba nahin hai to
umr kam hogi waqai meri

aapke ilm mein izafa ho
jaun pe likkhi shayari meri

shehar mein log kahte hain paagal
jaun jaisi hai zindagi meri

muskuraane lage hain ye patthar
jee anokhi hai butgari meri

kahti hai honthon se lagaaye ho
cheeni radha ne baansuri meri

bahar mein sher kehna sikhla doon
aap dekhen ye rahbari meri

bas galat ko galat kaha tha to
ho gai un se dushmani meri

एक कमरे सी ज़िंदगी मेरी
मेज़ कुर्सी से दोस्ती मेरी

मोहतरम जौन याद आते हैं
चीख़ती है ये ख़ामुशी मेरी

जौन को याद करता हूँ हरदम
अस्ल में है ये नौकरी मेरी

जौन को सुनना शेर कहना है
जौन से ही है आशिक़ी मेरी

जौन सा तजरबा नहीं है तो
उम्र कम होगी वाक़ई मेरी

आपके इल्म में इज़ाफ़ा हो
जौन पे लिक्खी शायरी मेरी

शहर में लोग कहते हैं पागल
जौन जैसी है ज़िन्दगी मेरी

मुस्कुराने लगे हैं ये पत्थर
जी अनोखी है बुतगरी मेरी

कहती है होंठों से लगाए हो
छीनी राधा ने बाँसुरी मेरी

बहर में शेर कहना सिखला दूँ
आप देखें ये रहबरी मेरी

बस ग़लत को ग़लत कहा था तो
हो गई उन से दुश्मनी मेरी

  - Sachin Sharmaa

Dushman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sachin Sharmaa

As you were reading Shayari by Sachin Sharmaa

Similar Writers

our suggestion based on Sachin Sharmaa

Similar Moods

As you were reading Dushman Shayari Shayari