teri chaahat ek karishma | "तेरी चाहत एक करिश्मा" - Chandrapal singh nishad

teri chaahat ek karishma

main thehra aawaara sa
mujhe to jahaan dekhta hai
tera deedaar ho jaana
kisi karishme se kam nahin
mujhe tujhse pyaar hona
aam sa lagta hai
tujhe mujhse pyaar ho jaana
kisi karishme se kam nahin
mere zehan mein to bas tum hi tum ho
tere labon pe mera naam aana
kisi karishme se kam nahin
tere khaatir lad pade apaahij bhi jamaane se
tera mere khaatir lad jaana
kisi karishme se kam nahin
mujhe khwaab daraavne hi aate hain mein so hi nahin paata
teri god mein mera sukoon se so jaana
kisi karishme se kam nahin
yun to bewafaai fitrat mein hai meri magar
tujhe ishq hokar sirf tera hokar rah jaana
kisi karishme se kam nahin
bana firta hai har insaan farishta is jahaan mein
insaan ka insaan ho jaana
kisi karishme se kam nahin

"तेरी चाहत एक करिश्मा"

मैं ठहरा आवारा सा
मुझे तो जहाँ देखता है
तेरा दीदार हो जाना
किसी करिश्मे से कम नहीं
मुझे तुझसे प्यार होना
आम सा लगता है
तुझे मुझसे प्यार हो जाना
किसी करिश्मे से कम नहीं
मेरे ज़ेहन में तो बस तुम ही तुम हो
तेरे लबों पे मेरा नाम आना
किसी करिश्मे से कम नहीं
तेरे ख़ातिर लड़ पड़े अपाहिज भी जमाने से
तेरा मेरे ख़ातिर लड़ जाना
किसी करिश्मे से कम नहीं
मुझे ख़्वाब डरावने ही आते हैं में सो ही नहीं पाता
तेरी गोद में मेरा सुकून से सो जाना
किसी करिश्मे से कम नहीं
यूँ तो बेवफ़ाई फ़ितरत में है मेरी मगर
तुझे इश्क़ होकर सिर्फ़ तेरा होकर रह जाना
किसी करिश्मे से कम नहीं
बना फिरता है हर इंसान फरिश्ता इस जहाँ में
इंसान का इंसान हो जाना
किसी करिश्मे से कम नहीं

- Chandrapal singh nishad
3 Likes

Charity Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Chandrapal singh nishad

Similar Moods

As you were reading Charity Shayari Shayari