ab hamko zamaane mein ye manzar nahin milta | अब हमको ज़माने में ये मंज़र नहीं मिलता

  - Shajar Abbas

ab hamko zamaane mein ye manzar nahin milta
neze ki bulandi pe koi sar nahin milta

milte hain sada pyaase samandar se jahaan mein
pyaaso se kabhi aa ke samandar nahin milta

main dushmani ya ishq karoon to karoon kissse
mujhko to koi qad ke barabar nahin milta

us shakhs se dil ja mila duniya mein hamaara
jis shakhs se sun yaar muqaddar nahin milta

hain yun to zamaane mein bahut saare sukhan var
ghalib sa magar koi sukhan var nahin milta

jis par kabhi taarikh-e-mulaqaat likhi thi
gum ho gaya usko vo calendar nahin milta

bante hain sab afraad ilaahi tere bande
dil mein kisi afraad ke par dar nahin milta

gar majnu o farhaad shahaadat nahin dete
to ishq ka parcham hamein ghar ghar nahin milta

dil bhar ke mila karta hai vo shakhs sabhi se
aur dekho shajar mujhse ghadi bhar nahin milta

sadiyon se shajar chaak garebaan hain mohabbat
sadiyon se ise koi rafoogar nahin milta

अब हमको ज़माने में ये मंज़र नहीं मिलता
नेज़े की बुलंदी पे कोई सर नहीं मिलता

मिलते हैं सदा प्यासे समंदर से जहाँ में
प्यासो से कभी आ के समंदर नहीं मिलता

मैं दुश्मनी या इश्क़ करूँ तो करूँ किससे
मुझको तो कोई क़द के बराबर नहीं मिलता

उस शख़्स से दिल जा मिला दुनिया में हमारा
जिस शख़्स से सुन यार मुक़द्दर नहीं मिलता

हैं यूँ तो ज़माने में बहुत सारे सुखन वर
ग़ालिब सा मगर कोई सुखन वर नहीं मिलता

जिस पर कभी तारीख़-ए-मुलाक़ात लिखी थी
गुम हो गया उसको वो कैलेंडर नहीं मिलता

बनते हैं सब अफ़राद इलाही तेरे बन्दे
दिल में किसी अफ़राद के पर डर नहीं मिलता

गर मजनू ओ फ़रहाद शहादत नहीं देते
तो इश्क़ का परचम हमें घर घर नहीं मिलता

दिल भर के मिला करता है वो शख़्स सभी से
और देखो शजर मुझसे घड़ी भर नहीं मिलता

सदियों से शजर चाक गरेबाँ हैं मोहब्बत
सदियों से इसे कोई रफ़ूगर नहीं मिलता

  - Shajar Abbas

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari