kah do jo mujhse koi shikaayat hai aapko
har baat bolne ki ijaazat hai aapko
har us bashar se hamko mohabbat hai ba-khuda
duniya mein jis bashar se mohabbat hai aapko
mahfooz rakhna khud ko mohabbat ke marz se
ye naujawaanon meri hidaayat hai aapko
poocha jo gul se choom luun main pattiyaan teri
gul muskuraa ke bola ijaazat hai aapko
shaane pe rakh ke haath ye kehne laga shajar
gham mein bhi muskuraane ki aadat hai aapko
कह दो जो मुझसे कोई शिकायत है आपको
हर बात बोलने की इजाज़त है आपको
हर उस बशर से हमको मोहब्बत है बा-ख़ुदा
दुनिया में जिस बशर से मोहब्बत है आपको
महफूज़ रखना ख़ुद को मोहब्बत के मर्ज़ से
ये नौजवानों मेरी हिदायत है आपको
पूछा जो गुल से चूम लूँ मैं पत्तियाँ तेरी
गुल मुस्कुरा के बोला इजाज़त है आपको
शाने पे रख के हाथ ये कहने लगा 'शजर'
ग़म में भी मुस्कुराने की आदत है आपको
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Aadat Shayari Shayari