ab yaad mujhe koi puraani nahin aati | अब याद मुझे कोई पुरानी नहीं आती

  - Shajar Abbas

ab yaad mujhe koi puraani nahin aati
thehre hue dariya mein rawaani nahin aati

hai tujhpe jawaani to jawaani ki qadar kar
phir laut ke waapas ye jawaani nahin aati

rote hue bacche ko bhala kaise karoon chup
mujhko to kahaani bhi banaani nahin aati

kahte ho ki ho hazrat-e-shabbir ke paaro
baatil se tumhein aankh milaani nahin aati

jo baat shajar hoti hai us shakhs ke dil mein
vo baat labon par use laani nahin aati

अब याद मुझे कोई पुरानी नहीं आती
ठहरे हुए दरिया में रवानी नहीं आती

है तुझपे जवानी तो जवानी की क़दर कर
फिर लौट के वापस ये जवानी नहीं आती

रोते हुए बच्चे को भला कैसे करूँ चुप
मुझको तो कहानी भी बनानी नहीं आती

कहते हो कि हो हज़रत-ए-शब्बीर केे पैरो
बातिल से तुम्हें आँख मिलानी नहीं आती

जो बात शजर होती है उस शख़्स के दिल में
वो बात लबों पर उसे लानी नहीं आती

  - Shajar Abbas

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari