hai bapaa shor qalb-e-muztar mein | है बपा शोर क़ल्ब-ए-मुज़्तर में

  - Shajar Abbas

hai bapaa shor qalb-e-muztar mein
aap hain dushmanon ke lashkar mein

baagbaan ne ye kah ke sabr kiya
gul nahin tha mere muqaddar mein

le chalo mujhko qaid-e-shiddat tum
khauf aata hai mujhko is ghar mein

ishq ka jo hisaab baaki hai
hamse kar lena roz-e-mahshar mein

kashti-e-dil na ghark ho jaaye
ai shajar ishq ke samandar mein

है बपा शोर क़ल्ब-ए-मुज़्तर में
आप हैं दुश्मनों के लश्कर में

बाग़बाँ ने ये कह के सब्र किया
गुल नहीं था मेरे मुकद्दर में

ले चलो मुझको क़ैद-ए-शिद्दत तुम
ख़ौफ़ आता है मुझको इस घर में

इश्क़ का जो हिसाब बाक़ी है
हमसे कर लेना रोज़-ए-महशर में

कश्ती-ए-दिल न ग़र्क़ हो जाए
ऐ शजर इश्क़ के समन्दर में

  - Shajar Abbas

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari