kal ye paighaam har ik peer-o-jawaan tak pahunchen | कल ये पैग़ाम हर इक पीर-ओ-जवाँ तक पहुँचे

  - Shajar Abbas

kal ye paighaam har ik peer-o-jawaan tak pahunchen
haal-e-afsurda mein ham koo-e-butaan tak pahunchen

usne poocha tha meri jaan kahaan tak pahunchen
maine hanskar ye kaha rishta-e-jaan tak pahunchen

bahre ho jaayen dua go hoon ye duniya waale
uska jab naam khuda meri zabaan tak pahunchen

mere haathon pe ye paazeb jo hai mere sanam
khwaahish-e-kalb-e-hazeen hai tere paan tak pahunchen

ja ke ham maut ki aaghosh mein yun baith gaye
jaise bichhda hua baccha koi maa tak pahunchen

maine khat deke kabootar ko kabootar se kaha
qaasid-e-ishq mera khat ye fulaan tak pahunchen

meri awaaz pe labbaik kahein peer-o-jawaan
meri halmin ki sada saare jahaan tak pahunchen

khoon se hai likkha hai taarikh ke auraakon par
haq bayaan karne ko ham nok e-sinaan tak pahunchen

honge deedaar mayyasar hamein huroon ke wahan
dil mein armaan liye ham ye jinaan tak pahunchen

dastaan mere safar ki ye hai adnaa si shajar
sang khaate hue ham koocha-e-jaan tak pahunchen

कल ये पैग़ाम हर इक पीर-ओ-जवाँ तक पहुँचे
हाल-ए-अफ़सुर्दा में हम कू-ए-बुताँ तक पहुँचे

उसने पूछा था मेरी जान कहाँ तक पहुँचे
मैने हँसकर ये कहा रिश्ता-ए-जाँ तक पहुँचे

बहरे हो जाएँ दुआ गो हूँ ये दुनिया वाले
उसका जब नाम ख़ुदा मेरी ज़बाँ तक पहुँचे

मेरे हाथों पे ये पाज़ेब जो है मेरे सनम
ख़्वाहिश-ए-कल्ब-ए-हज़ीं है तेरे पाँ तक पहुँचे

जा के हम मौत की आग़ोश में यूँ बैठ गए
जैसे बिछड़ा हुआ बच्चा कोई माँ तक पहुँचे

मैंने ख़त देके कबूतर को कबूतर से कहा
क़ासिद-ए-इश्क़ मेरा ख़त ये फ़ुलाँ तक पहुँचे

मेरी आवाज़ पे लब्बैक कहें पीर-ओ-जवाँ
मेरी हलमिन की सदा सारे जहाँ तक पहुँचे

ख़ून से है लिक्खा है तारीख़ के औराकों पर
हक़ बयाँ करने को हम नोक -ए-सिनाँ तक पहुँचे

होंगे दीदार मय्यसर हमें हूरों के वहाँ
दिल में अरमान लिए हम ये जिनाँ तक पहुँचे

दास्ताँ मेरे सफ़र की ये है अदना सी शजर
संग खाते हुए हम कूचा-ए-जाँ तक पहुँचे

  - Shajar Abbas

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari