kamzarf mere dil se utar kyun nahin jaate
utre ho mere dil se to mar kyun nahin jaate
behis se nazar aate ho har baar mujhe tum
behis bhala duniya se guzar kyun nahin jaate
vo phool jo gulshan mein pada hai wahan tanhaa
tum usse gale lag ke nikhar kyun nahin jaate
mahroom hain barson se ye aagosh hamaari
khushiyon se ise aan ke bhar kyun nahin jaate
kab tak yun bhala rooge sehra mein shajar tum
ik arsa hua ghar gaye ghar kyun nahin jaate
कमज़र्फ़ मेरे दिल से उतर क्यों नहीं जाते
उतरे हो मेरे दिल से तो मर क्यों नहीं जाते
बेहिस से नज़र आते हो हर बार मुझे तुम
बेहिस भला दुनिया से गुज़र क्यों नहीं जाते
वो फूल जो गुलशन में पड़ा है वहाँ तन्हा
तुम उससे गले लग के निखर क्यों नहीं जाते
महरूम हैं बरसों से ये आगोश हमारी
ख़ुशियों से इसे आन के भर क्यों नहीं जाते
कब तक यूँ भला रोओगे सहरा में शजर तुम
इक अरसा हुआ घर गए घर क्यों नहीं जाते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Khushboo Shayari Shayari