lagti hai aisi baithi hui vo makaan mein
jaise rakha ho phool koi phool daan mein
shole bhadak rahe hain mere aashiyaan mein
baithe hue hain aap yahan itminaan mein
dekha hai maine farsh se arsh-e-bari talak
koi nahin hain uski tarah do jahaan mein
rehta hai jab zameen pa mahtaab doston
kyun dekhoon mahtaab ko main aasmaan mein
dekha hai muskurata shajar jab se jaan ko
aayi hai jaan tab se zara meri jaan mein
लगती है ऐसी बैठी हुई वो मकान में
जैसे रखा हो फूल कोई फूल दान में
शोले भड़क रहे हैं मेरे आशियान में
बैठे हुए हैं आप यहाँ इत्मिनान में
देखा है मैंने फर्श से अर्श-ए-बरी तलक
कोई नहीं हैं उसकी तरह दो जहान में
रहता है जब ज़मीन पा माहताब दोस्तों
क्यों देखूं माहताब को मैं आसमान में
देखा है मुस्कुराता शजर जब से जान को
आई है जान तब से ज़रा मेरी जान में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Shajar Shayari Shayari