nagma-e-ishq gungunaate raho | नग्मा-ए-इश्क़ गुनगुनाते रहो - Shajar Abbas

nagma-e-ishq gungunaate raho
parcham-e-ishq ko uthaate raho

rasm-e-shabbeeri ko nibhaate raho
raah-e-haq mein gale kataate raho

yun hi shab bhar humein sataate raho
khwaab mein aap aate jaate raho

darmiyaan ulfate badhaate raho
hamse rutho humein manaate raho

hamse milte raho gale hamdam
aur hamko gale lagaate raho

hum tumhein dekhen muskuraate rahein
tum humein dekho muskuraate raho

khoobsurat si apni aankhon mein
aap sapne mere sajaate raho

dil dukhaana tumhaara pesha hai
to mere dil ko tum dukhaate raho

chand din ki hai zindagaani miyaan
ismein hanste raho hansaate raho

aaj ki shab hai shab ibadat ki
aaj jagte raho jagaate raho

yaar mere ye ik siyaasat hai
ishq karte raho chhupaate raho

zikr karte raho shajar ka mere
uski ghazlein mujhe sunaate raho

नग्मा-ए-इश्क़ गुनगुनाते रहो
परचम-ए-इश्क़ को उठाते रहो

रस्म-ए-शब्बीरी को निभाते रहो
राह-ए-हक़ में गले कटाते रहो

यूँ ही शब भर हमें सताते रहो
ख़्वाब में आप आते जाते रहो

दरमियाँ उल्फ़ते बढ़ाते रहो
हमसे रूठो हमें मनाते रहो

हमसे मिलते रहो गले हमदम
और हमको गले लगाते रहो

हम तुम्हें देखें मुस्कुराते रहें
तुम हमें देखो मुस्कुराते रहो

ख़ूबसूरत सी अपनी आँखों में
आप सपने मेरे सजाते रहो

दिल दुखाना तुम्हारा पेशा है
तो मेरे दिल को तुम दुखाते रहो

चंद दिन की है ज़िंदगानी मियाँ
इसमें हँसते रहो हँसाते रहो

आज की शब है शब इबादत की
आज जगते रहो जगाते रहो

यार मेरे ये इक सियासत है
इश्क़ करते रहो छुपाते रहो

ज़िक्र करते रहो शजर का मेरे
उसकी ग़ज़लें मुझे सुनाते रहो

- Shajar Abbas
1 Like

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari