saare buzurg logon ka tu ehtiraam kar
jo laayak-e-salaam hain unko salaam kar
ye kaam roz ahl-e-subah aur shaam kar
paigham-e-amn-o-chain zamaane mein aam kar
nazrein jhuki hon lehje mein narmi ho be panaah
jab jab bhi waliden se apne kalaam kar
dil se sada ye aati hai har dam mere shajar
waqt-e-zuhoor aa gaya kuchh intijaam kar
bedaar hoke neend se gafalt ki ai shajar
tu apne baba jaan ka zamaane mein naam kar
सारे बुज़ुर्ग लोगों का तू एहतिराम कर
जो लायक़-ए-सलाम हैं उनको सलाम कर
ये काम रोज़ एहल-ए-सुबह और शाम कर
पैग़ाम-ए-अम्न-ओ-चैन ज़माने में आम कर
नज़रें झुकी हों लहजे में नर्मी हो बे पनाह
जब जब भी वालिदेन से अपने कलाम कर
दिल से सदा ये आती है हर दम मेरे शजर
वक्त-ए-ज़हूर आ गया कुछ इंतजाम कर
बेदार होके नींद से गफ़लत की ऐ शजर
तू अपने बाबा जाँ का ज़माने में नाम कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Aam Shayari Shayari