mausamon se kaam le ho faayda kuchh sardiyon se | मौसमों से काम ले हो फ़ायदा कुछ सर्दियों से

  - Ritesh thakur

mausamon se kaam le ho faayda kuchh sardiyon se
kapkapate mere lab jaan daab le apne labon se

ho rahi thi vo pareshaan dekh kar afsoorda phool
so bichhaaye uski raahon mein le kar taarein shabon se

mat sikhaana apne ladko ko wafaadaari ka ye fan
aise hi ladko ki laashein milti hai phir patriyon se

ek din mere mutaabik badli duniyaan aur usmein
baadlon se mitti barsi nikla paani pattharon se

rahti thi teri judaai ki uchhal kood aanganon mein
goonjne lagta tha mera aashiyaan khaamoshiyon se

aane lagte apni azaadi ke sapne har kisi ko
zikr hone lagta jab bhi faasiyon ka qaidiyon se

मौसमों से काम ले हो फ़ायदा कुछ सर्दियों से
कपकपाते मेरे लब जाँ दाब ले अपने लबों से

हो रही थी वो परेशां देख कर अफसूरदा फूल
सो बिछाए उसकी राहों में ले कर तारें शबों से

मत सिखाना अपने लड़को को वफ़ादारी का ये फ़न
ऐसे ही लड़को की लाशें मिलती है फिर पटरियों से

एक दिन मेरे मुताबिक बदली दुनियां और उसमें
बादलों से मिट्टी बरसी निकला पानी पत्थरों से

रहती थी तेरी जुदाई की उछल कूद आंगनों में
गूंजने लगता था मेरा आशियाँ ख़ामोशियों से

आने लगते अपनी आज़ादी के सपने हर किसी को
ज़िक़्र होने लगता जब भी फाँसियों का कैदियों से

  - Ritesh thakur

Paani Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Ritesh thakur

Similar Moods

As you were reading Paani Shayari Shayari