apni sanam ko hamne manana chhod diya
paani mein ab aag lagana chhod diya
kab tak roenge ham uski yaadon mein
aankhon se aansu ko girana chhod diya
jisko dekho tod ke lekar jaate hain
baagon mein ab phool lagana chhod diya
jaane kitne logon ke dil toote hain
ghairoon se ab dil ko milaana chhod diya
jo karte hai khul ke shikaayat sirf meri
daanish unko ghar pe bulaana chhod diya
अपनी सनम को हमने मनाना छोड़ दिया
पानी में अब आग लगाना छोड़ दिया
कब तक रोएँगे हम उसकी यादों में
आँखों से आँसू को गिराना छोड़ दिया
जिसको देखो तोड़ के लेकर जाते हैं
बाग़ों में अब फूल लगाना छोड़ दिया
जाने कितने लोगों के दिल टूटे हैं
ग़ैरों से अब दिल को मिलाना छोड़ दिया
जो करते है खुल के शिकायत सिर्फ़ मेरी
'दानिश' उनको घर पे बुलाना छोड़ दिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Nature Shayari Shayari