bahut main himmat bhi karke shaayad sabhi ko darpan dikha raha hoon
mara pada hai yahan ka munsif yahi to main sach bata raha hoon
zara bagaavat karo siyaasat ki tum saza do yun muzrimon ko
main begunaahon ke sirf ab to yahan janaaze utha raha hoon
main zulm ko rokne ki khaatir qalam ka leta hoon bas sahaara
jo log hain ilm waale murshad unhin ko ab main jaga raha hoon
bahut zaroori hai ab yahan par sabhi se millat sabhi se chaahat
jo nafratoin mein hi pal rahe hain unhen muhabbat sikha raha hoon
jo khaar hain nafratoin ke daanish unhen haraana hai phoolon se ab
jo hai fida chaai sharbatoon par main unko zam-zam pila raha hoon
बहुत मैं हिम्मत भी करके शायद सभी को दर्पण दिखा रहा हूँ
मरा पड़ा है यहाँ का मुंसिफ़ यही तो मैं सच बता रहा हूँ
ज़रा बग़ावत करो सियासत कि तुम सज़ा दो यूँ मुज़रिमों को
मैं बेगुनाहों के सिर्फ़ अब तो यहाँ जनाज़े उठा रहा हूँ
मैं ज़ुल्म को रोकने की ख़ातिर क़लम का लेता हूँ बस सहारा
जो लोग हैं इल्म वाले मुर्शद उन्हीं को अब मैं जगा रहा हूँ
बहुत ज़रूरी है अब यहाँ पर सभी से मिल्लत सभी से चाहत
जो नफ़रतों में ही पल रहे हैं उन्हें मुहब्बत सिखा रहा हूँ
जो ख़ार हैं नफ़रतों के 'दानिश' उन्हें हराना है फूलों से अब
जो है फ़िदा चाय शर्बतों पर मैं उनको ज़म-ज़म पिला रहा हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Child labour Shayari Shayari