chaahat mein pal rahe the jo vo khwaab mar gaye
aansu ki raah se hi sabhi khun guzar gaye
mujh mein na koi aib na ulfat mein koi aib
main soch mein pada hoon ki vo kyun mukar gaye
khushiyon ka zikr yaar bahut kar rahe the ham
jab unki yaad aayi to sab gham ubhar gaye
unke bahut se vaadein hamein yaad aa rahein
vo apne maqsadon se khuda kyun mukar gaye
be-khauf chal rahe the muhabbat ke shehar mein
daanish ham unko dekh ke har baar dar gaye
चाहत में पल रहे थे जो वो ख़्वाब मर गए
आँसू की राह से ही सभी ख़ूँ गुजर गए
मुझ में न कोई ऐब न उल्फ़त में कोई ऐब
मैं सोच में पड़ा हूँ कि वो क्यों मुकर गए
ख़ुशियों का ज़िक्र यार बहुत कर रहे थे हम
जब उनकी याद आई तो सब ग़म उभर गए
उनके बहुत से वादें हमें याद आ रहें
वो अपने मक़सदों से ख़ुदा क्यों मुकर गए
बे-ख़ौफ़ चल रहे थे मुहब्बत के शहर में
'दानिश' हम उनको देख के हर बार डर गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Ulfat Shayari Shayari