gulaabi rang sa kuchh gir raha hai tere gaalon se | गुलाबी रंग सा कुछ गिर रहा है तेरे गालों से

  - Shayar Danish

gulaabi rang sa kuchh gir raha hai tere gaalon se
pata hai sabko khushboo aa rahi hai tere baalon se

na jaane kyun nahin milne mujhe dete hain tujhse log
bagaavat karne hai mujhko yun tere shehar waalon se

raqeebon se bahut badhta hai tera din pe din rishta
kisi din main nikaloonga tujhe apne khayaalon se

kabhi mat karna tu mujhse bahs is be-wafai par
nahin to tay hai tujhko tang kar doonga sawaalon se

andheron mein teri guzri hai poori zindagi daanish
guzarish hai na jal tu ab mere ghar ke ujaalon se

गुलाबी रंग सा कुछ गिर रहा है तेरे गालों से
पता है सबको ख़ुश्बू आ रही है तेरे बालों से

न जाने क्यों नहीं मिलने मुझे देते हैं तुझसे लोग
बग़ावत करनी है मुझको यूँ तेरे शहर वालों से

रक़ीबों से बहुत बढ़ता है तेरा दिन पे दिन रिश्ता
किसी दिन मैं निकालूँगा तुझे अपने ख़यालों से

कभी मत करना तू मुझसे बहस इस बे-वफ़ाई पर
नहीं तो तय है तुझको तंग कर दूँगा सवालों से

अँधेरों में तेरी गुजरी है पूरी ज़िंदगी 'दानिश'
गुज़ारिश है न जल तू अब मेरे घर के उजालों से

  - Shayar Danish

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shayar Danish

As you were reading Shayari by Shayar Danish

Similar Writers

our suggestion based on Shayar Danish

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari