sanam tumko bahut yun besabab ham yaad karte hain
jee bhar ke waqt apna is qadar barbaad karte hain
purane khat tumhaare ham jala kar ke sanam aise
tumhaari is muhabbat ko yun murdaabaad karte hain
hamein maaloom hai murshad yahan kuchh log hain naadaan
muhabbat karke apni zindagi naashaad karte hain
bahut ham tanj karte hain yun jab bhi is muhabbat par
hamaare sher sun ke log bhi irshaad karte hain
use ham bhool jaaye to sukoon hai zindagaani mein
ai daanish ham bhi apne rab se ye fariyaad karte hain
सनम तुमको बहुत यूँ बेसबब हम याद करते हैं
जी भर के वक़्त अपना इस क़दर बर्बाद करते हैं
पुराने ख़त तुम्हारे हम जला कर के सनम ऐसे
तुम्हारी इस मुहब्बत को यूँ मुर्दाबाद करते हैं
हमें मालूम है मुर्शद यहाँ कुछ लोग हैं नादान
मुहब्बत करके अपनी ज़िंदगी नाशाद करते हैं
बहुत हम तंज़ करते हैं यूँ जब भी इस मुहब्बत पर
हमारे शेर सुन के लोग भी इरशाद करते हैं
उसे हम भूल जाए तो सुकूँ है ज़िंदगानी में
ऐ ''दानिश'' हम भी अपने रब से ये फ़रियाद करते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Waqt Shayari Shayari