mere bas naam pe talwaar uthaane waale
dushmani mujhse nibhaate hain nibhaane waale
rab hifaazat meri karta hai kai saalon se
ye mujhe khaak mitaayenge zamaane waale
aab-e-zam zam to pila saka nahin koi yahan
har jagah milte hain bas zahar pilaane waale
kis tarah dard ko main pesh karoon lafzon se
yaad aate hain bahut dil ko dukhaane waale
khwaahishein unko bahut dekhne ki hain daanish
zulm dhhaate hain bahut nazrein churaane waale
मेरे बस नाम पे तलवार उठाने वाले
दुश्मनी मुझसे निभाते हैं निभाने वाले
रब हिफ़ाज़त मेरी करता है कई सालों से
ये मुझे ख़ाक मिटाएँगे ज़माने वाले
आब-ए-ज़म ज़म तो पिला सकता नहीं कोई यहाँ
हर जगह मिलते हैं बस ज़हर पिलाने वाले
किस तरह दर्द को मैं पेश करूँ लफ़्ज़ों से
याद आते हैं बहुत दिल को दुखाने वाले
ख़्वाहिशें उनको बहुत देखने की हैं 'दानिश'
ज़ुल्म ढ़ाते हैं बहुत नज़रें चुराने वाले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Khwaahish Shayari Shayari