tum kisi pyaase ko bhookha mat kaho
main samandar hoon to dariya mat kaho
phool ko jad se nikala hai yahan
tum mujhe auron ke jaisa mat kaho
ek baari kaan par aahiste se
ishq kahke phir dobaara mat kaho
tum deewane ko bhale paagal kaho
paagalon ko par deewana mat kaho
तुम किसी प्यासे को भूखा मत कहो
मैं समंदर हूँ तो दरिया मत कहो
फूल को जड़ से निकाला है यहाँ
तुम मुझे औरों के जैसा मत कहो
एक बारी कान पर आहिस्ते से
इश्क़ कहके फिर दुबारा मत कहो
तुम दिवाने को भले पागल कहो
पागलों को पर दिवाना मत कहो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by komal selacoti
our suggestion based on komal selacoti
As you were reading Khushboo Shayari Shayari