thi kabhi chaahat kisi ki us junoon mein ab nahin hain
kyun karein phir ham tamannaa vo hamaare jab nahin hain
khush-naseebi hai ye tike ki ki maathe pe saja hai
ye meri hai bad-naseebi kyun wahan ye lab nahin hain
neend mujhko aa bhi jaayegi magar phir ye sitam hai
vo wahan bhi aa rahi hai khwaab uske kab nahin hain
chahte hain jo tumhein sab aur tumko ye gumaan hai
khair dekho vo sabhi ke hain tumhaare sab nahin hain
थी कभी चाहत किसी की उस जुनूँ में अब नहीं हैं
क्यों करें फिर हम तमन्ना वो हमारे जब नहीं हैं
ख़ुश-नसीबी है ये टीके की कि माथे पे सजा है
ये मेरी है बद-नसीबी क्यों वहाँ ये लब नहीं हैं
नींद मुझको आ भी जाएगी मगर फिर ये सितम है
वो वहाँ भी आ रही है ख़्वाब उसके कब नहीं हैं
चाहते हैं जो तुम्हें सब और तुमको ये गुमाँ है
ख़ैर देखो वो सभी के हैं तुम्हारे सब नहीं हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Umashankar Lekhwar
our suggestion based on Umashankar Lekhwar
As you were reading Zulm Shayari Shayari