ghar nibhaana munaasib nahin | ग़र निभाना मुनासिब नहीं

  - Asad Akbarabadi

ghar nibhaana munaasib nahin
haq jataana munaasib nahin

zabt kyun kar rahe ho miyaan
kya ye shaana munaasib nahin

dushmani dosti theek hai
pyaar na na munaasib nahin

lazzat-e-zeest to khair kya
aabo-daana munaasib nahin

sabz rakhne padenge shajar
bas lagana munaasib nahin

kab talak gaal aage karein
bhai zamaana munaasib nahin

maan sammaan apni jagah
dum hilaana munaasib nahin

jinko aata nahin kuchh to phir
munh chalaana munaasib nahin

kya nahin ho raha aaj kal
ye bahaana munaasib nahin

vo khilona nahin hai asad
man chalaana munaasib nahin

ग़र निभाना मुनासिब नहीं
हक़ जताना मुनासिब नहीं

ज़ब्त क्यों कर रहे हो मियाँ
क्या ये शाना मुनासिब नहीं

दुश्मनी दोस्ती ठीक है
प्यार ना ना मुनासिब नहीं

लज़्ज़ते-ज़ीस्त तो ख़ैर क्या
आबो-दाना मुनासिब नहीं

सब्ज़ रखने पड़ेंगे शजर
बस लगाना मुनासिब नहीं

कब तलक गाल आगे करें
भइ ज़माना मुनासिब नहीं

मान सम्मान अपनी जगह
दुम हिलाना मुनासिब नहीं

जिनको आता नहीं कुछ तो फिर
मुँह चलाना मुनासिब नहीं

क्या नहीं हो रहा आज कल
ये बहाना मुनासिब नहीं

वो ख़िलौना नहीं है असद
मन चलाना मुनासिब नहीं

  - Asad Akbarabadi

Raqeeb Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Asad Akbarabadi

As you were reading Shayari by Asad Akbarabadi

Similar Writers

our suggestion based on Asad Akbarabadi

Similar Moods

As you were reading Raqeeb Shayari Shayari