suno main chahta hoon ab ki aisi baat ho jaaye
wahan tum zulf bikhrao yahan barsaat ho jaaye
kabhi lab ko tere choomun kabhi zulfen sanwaarūń main
bhali si ek khwaahish hai ki aisi raat ho jaaye
nigaahen yun milaao tum nazar ke teer barsaao
kabhi jo jang ho tumse hamaari maat ho jaaye
sitaare yun taken tujhko chamakta chaand lagti hai
agar aanchal tera dhalke falak mein raat ho jaaye
kisi jaanib ko jab nikle safar mein hamsafar ho tu
bhala kya baat ho jaanaan tera jo saath ho jaaye
tamannaa hai yahi meri ki tera haath mil jaaye
tujhe ham pa agar jo len basar auqaat ho jaaye
सुनो मैं चाहता हूँ अब कि ऐसी बात हो जाए
वहाँ तुम ज़ुल्फ़ बिखराओ यहाँ बरसात हो जाए
कभी लब को तेरे चूमूँ कभी ज़ुल्फ़ें सँवारूँ मैं
भली सी एक ख़्वाहिश है कि ऐसी रात हो जाए
निगाहें यूँ मिलाओ तुम नज़र के तीर बरसाओ
कभी जो जंग हो तुमसे हमारी मात हो जाए
सितारे यूँ तकें तुझको चमकता चाँद लगती है
अगर आँचल तेरा ढलके फ़लक में रात हो जाए
किसी जानिब को जब निकले सफ़र में हमसफ़र हो तू
भला क्या बात हो जानाँ तेरा जो साथ हो जाए
तमन्ना है यही मेरी कि तेरा हाथ मिल जाए
तुझे हम पा अगर जो लें बसर औक़ात हो जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by ALI ZUHRI
our suggestion based on ALI ZUHRI
As you were reading Safar Shayari Shayari