giri hai barq-e-tapaan dil pe ye khabar sun kar | गिरी है बर्क़-ए-तपाँ दिल पे ये ख़बर सुन कर

  - Aaftab Rais Panipati

giri hai barq-e-tapaan dil pe ye khabar sun kar
chadha diya hai bhagat-singh ko raat faansi par
utha hai naala-e-pur-dard se naya mahshar
jigar pe maadar-e-bharat ke chal gaye khanjar
shikasta-haal hua qaum ke habeebon ka
badan mein khushk lahu ho gaya ghareebon ka
abhi to qaum ne nehru ka gham uthaya tha
abhi to daas ki furqat ne hashr dhaaya tha
abhi to hijr ka bismil ke zakham khaaya tha
abhi to koh-e-sitam charkh ne giraaya tha
chale hain naavak-e-bedaad phir kalejon par
ki aaj uth gaye afsos naujavaan rahbar
adoo watan ko tashaddud se kya dabaaenge
vo apne haath se fitne naye jagaaenge
jo mulk-o-qaum ki devi pe sar chadhaaenge
nisaar ho ke shaheedon mein naam paayenge
girega qatra-e-khoon bhi jahaan sapooton ka
fida-e-hind wahan honge saikdon paida
jahaan se mulk-e-adam naunehaal jaate hain
numayaan kar ke sitam-kash ka haal jaate hain
gira ke hind mein koh-e-malaal jaate hain
watan ko chhod ke bharat ke laal jaate hain
tadap rahe hain judaai mein be-qaraar-e-watan
chale hain aalam-e-baala ko jaan-nisaar-e-watan

गिरी है बर्क़-ए-तपाँ दिल पे ये ख़बर सुन कर
चढ़ा दिया है भगत-सिंह को रात फाँसी पर
उठा है नाला-ए-पुर-दर्द से नया महशर
जिगर पे मादर-ए-भारत के चल गए ख़ंजर
शिकस्ता-हाल हुआ क़ौम के हबीबों का
बदन में ख़ुश्क लहू हो गया ग़रीबों का
अभी तो क़ौम ने 'नेहरू' का ग़म उठाया था
अभी तो दास की फ़ुर्क़त ने हश्र ढाया था
अभी तो हिज्र का बिस्मिल के ज़ख़्म खाया था
अभी तो कोह-ए-सितम चर्ख़ ने गिराया था
चले हैं नावक-ए-बेदाद फिर कलेजों पर
कि आज उठ गए अफ़्सोस नौजवाँ रहबर
अदू वतन को तशद्दुद से क्या दबाएँगे
वो अपने हाथ से फ़ित्ने नए जगाएँगे
जो मुल्क-ओ-क़ौम की देवी पे सर चढ़ाएँगे
निसार हो के शहीदों में नाम पाएँगे
गिरेगा क़तरा-ए-ख़ूँ भी जहाँ सपूतों का
फ़िदा-ए-हिंद वहाँ होंगे सैंकड़ों पैदा
जहाँ से मुल्क-ए-अदम नौनिहाल जाते हैं
नुमायाँ कर के सितम-कश का हाल जाते हैं
गिरा के हिन्द में कोह-ए-मलाल जाते हैं
वतन को छोड़ के भारत के लाल जाते हैं
तड़प रहे हैं जुदाई में बे-क़रार-ए-वतन
चले हैं आलम-ए-बाला को जाँ-निसार-ए-वतन

  - Aaftab Rais Panipati

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Aaftab Rais Panipati

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari