nuzool-e-itaab ki ghadi | नुज़ूल-ए-इताब की घड़ी

  - Aashufta Changezi

nuzool-e-itaab ki ghadi
nazdeek hai
darbaari kutte
roo-posh baagiyon ki talash mein
zameenen soonghte phir rahe hain
sarbaraahon ki quwwat-e-faisla jawaab de chuki hai
un ke mafluuj haath
darbaariyon ke rachaae shadyantro par
kyun dastkhat karne ki masheenein hain
un ki zabaanen sirf dhamkiyaan bolti hain
un ke ana-parast kaan
gidgidahahten sunne ke aadi ho chuke hain
musheeroon aur salaah-kaaron ka daava hai
ki vo jald hi sarbaraahon ko
dast-khaton ki zahmat se bhi najaat dilaane ka raasta dhundh nikaalenge

नुज़ूल-ए-इताब की घड़ी
नज़दीक है……
दरबारी कुत्ते!
रू-पोश बाग़ियों की तलाश में
ज़मीनें सूँघते फिर रहे हैं
सरबराहों की क़ुव्वत-ए-फ़ैसला जवाब दे चुकी है
उन के मफ़्लूज हाथ
दरबारियों के रचाए षड़यंत्रों पर
क्यूँ दस्तख़त करने की मशीनें हैं
उन की ज़बानें सिर्फ़ धमकियाँ बोलती हैं
उन के अना-परस्त कान
गिड़गिढ़ाहटें सुनने के आदी हो चुके हैं
मुशीरों और सलाह-कारों का दावा है
कि वो जल्द ही सरबराहों को
दस्त-ख़तों की ज़हमत से भी नजात दिलाने का रास्ता ढूँड निकालेंगे!

  - Aashufta Changezi

Justaju Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aashufta Changezi

As you were reading Shayari by Aashufta Changezi

Similar Writers

our suggestion based on Aashufta Changezi

Similar Moods

As you were reading Justaju Shayari Shayari