aazma aazma ke ye kya kar diya
ik wafaadar ko bewafa kar diya
raaste mein biyaabaan jungle tha jab
humsafar ne mujhe tab juda kar diya
usne meri daleelen sooni hi nahin
ham juda honge yah faisla kar diya
door jaana tha par bewafaai na ki
dil ke bandhan se fauran rihaa kar diya
आज़मा आज़मा के ये क्या कर दिया
इक वफ़ादार को बेवफ़ा कर दिया
रास्ते में बियाबान जंगल था जब
हमसफ़र ने मुझे तब जुदा कर दिया
उसने मेरी दलीलें सुनी ही नहीं
हम जुदा होंगे यह फ़ैसला कर दिया
दूर जाना था पर बेवफ़ाई न की
दिल के बंधन से फ़ौरन रिहा कर दिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aatish Indori
our suggestion based on Aatish Indori
As you were reading Shama Shayari Shayari