kahaan tum mulk ke dushman ko dahshat-gard kahte ho | कहाँ तुम मुल्क के दुश्मन को दहशत-गर्द कहते हो

  - Aatish Indori

kahaan tum mulk ke dushman ko dahshat-gard kahte ho
ult kehna hai is kaaran use hamdard kahte ho

tumhaare shor mein peeda hamaari kaun sun paata
ghazab ho raat-din chillaa ke jhoota dard kahte ho

shikaayat cheekh kar karne se haasil kuchh nahin hoga
pata hai aadatan tum to hare ko zard kahte ho

hamesha se tilak ban kar ye maathe par viraaje hain
bahut paawan hain ye raj-kan jise tum gard kahte ho

कहाँ तुम मुल्क के दुश्मन को दहशत-गर्द कहते हो
उलट कहना है इस कारण उसे हमदर्द कहते हो

तुम्हारे शोर में पीड़ा हमारी कौन सुन पाता
ग़ज़ब हो रात-दिन चिल्ला के झूटा दर्द कहते हो

शिकायत चीख़ कर करने से हासिल कुछ नहीं होगा
पता है आदतन तुम तो हरे को ज़र्द कहते हो

हमेशा से तिलक बन कर ये माथे पर विराजे हैं
बहुत पावन हैं ये रज-कण जिसे तुम गर्द कहते हो

  - Aatish Indori

Dushman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aatish Indori

As you were reading Shayari by Aatish Indori

Similar Writers

our suggestion based on Aatish Indori

Similar Moods

As you were reading Dushman Shayari Shayari