socha tha ishq hoga nahin ik pari ke baad | सोचा था इश्क़ होगा नहीं इक परी के बाद

  - Abhishar Geeta Shukla

socha tha ishq hoga nahin ik pari ke baad
par pyaas aur badh gayi hai us nadi ke baad

naakaam ho jo ishq mein to shaayri karo
jaadugari se kaam lo charagari ke baad

tab kya karega dost agar vo nahin mili
jo zindagi tu chahta hai khudkushi ke baad

phir bhi yaqeen kar raha hoon us khuda pe main
jo bebaasi bana raha hai aadmi ke baad

kuchh zakhm muskuraahaton ke aise rah gaye
jaise ki teergi ke nishaan chaandni ke baad

ye diljalon ki fauj mere saath jaayegi
kuchh bhi nahin bachega yahan shayari ke baad

ham ishq se nikal chuki afsurdagi mein hain
ik ajnabi ke saath hain ik ajnabi ke baad

सोचा था इश्क़ होगा नहीं इक परी के बाद
पर प्यास और बढ़ गयी है उस नदी के बाद

नाकाम हो जो इश्क़ में तो शाइरी करो
जादूगरी से काम लो चारागरी के बाद

तब क्या करेगा दोस्त अगर वो नहीं मिली
जो ज़िन्दगी तू चाहता है ख़ुदकुशी के बाद

फिर भी यक़ीन कर रहा हूँ उस ख़ुदा पे मैं
जो बेबसी बना रहा है आदमी के बाद

कुछ ज़ख़्म मुस्कुराहटों के ऐसे रह गए
जैसे कि तीरगी के निशाँ चाँदनी के बाद

ये दिलजलों की फ़ौज मेरे साथ जाएगी
कुछ भी नहीं बचेगा यहाँ शायरी के बाद

हम इश्क़ से निकल चुकी अफ़सुर्दगी में हैं
इक अजनबी के साथ हैं इक अजनबी के बाद

  - Abhishar Geeta Shukla

Nadii Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Abhishar Geeta Shukla

As you were reading Shayari by Abhishar Geeta Shukla

Similar Writers

our suggestion based on Abhishar Geeta Shukla

Similar Moods

As you were reading Nadii Shayari Shayari