aadhon ki taraf se kabhi paunon ki taraf se
aawaaze kase jaate hain baunon ki taraf se
hairat se sabhi khaak-zada dekh rahe hain
har roz zameen ghatti hai konon ki taraf se
aankhon mein liye firte hain is dar-badri mein
kuchh toote hue khwaab khilauno ki taraf se
phir koi asa de ki vo funkaarte nikle
phir azdahe fir'aun ke tonon ki taraf se
tu wahm-o-gumaan se bhi pare deta hai sab ko
ho jaata hai pal bhar mein na honon ki taraf se
baaton ka koi silsila jaari ho kisi taur
khaamoshi hi khaamoshi hai dono ki taraf se
phir ba'ad mein darwaaza dikha dete hain aadil
pehle vo uthaate hain bichhaunon ki taraf se
आधों की तरफ़ से कभी पौनों की तरफ़ से
आवाज़े कसे जाते हैं बौनों की तरफ़ से
हैरत से सभी ख़ाक-ज़दा देख रहे हैं
हर रोज़ ज़मीं घटती है कोनों की तरफ़ से
आँखों में लिए फिरते हैं इस दर-बदरी में
कुछ टूटे हुए ख़्वाब खिलौनों की तरफ़ से
फिर कोई असा दे कि वो फुंकारते निकले
फिर अज़दहे फ़िरऔन के टोनों की तरफ़ से
तू वहम-ओ-गुमाँ से भी परे देता है सब को
हो जाता है पल भर में न होनों की तरफ़ से
बातों का कोई सिलसिला जारी हो किसी तौर
ख़ामोशी ही ख़ामोशी है दोनों की तरफ़ से
फिर बा'द में दरवाज़ा दिखा देते हैं 'आदिल'
पहले वो उठाते हैं बिछौनों की तरफ़ से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Adil Mansuri
our suggestion based on Adil Mansuri
As you were reading Fantasy Shayari Shayari