paani shajar pe phool bana dekhta raha | पानी शजर पे फूल बना देखता रहा

  - Afzaal Naveed

paani shajar pe phool bana dekhta raha
aur dasht mein babool bana dekhta raha

ayyaam ke ghubaar se nikla to der tak
main raaston ko dhool bana dekhta raha

tu baazuon mein bhar ke gulaabon ko so rahi
main bhi khizaan ka phool bana dekhta raha

konpal se ek lab se faraamosh ho ke main
kis guftugoo mein tool bana dekhta raha

baada-kashon ke khun se chhalakta tha may-kada
khemiyaaza-e-malool bana dekhta raha

pichhle khandar se agle khandar tak tha intizaar
main aatma ki bhool bana dekhta raha

naam-o-numood haft-jihat saunp kar mujhe
suraj dhanak mein dhool bana dekhta raha

tha sabza-e-kasheeda darakhton ke darmiyaan
na-qaabil-e-qubool bana dekhta raha

tajseem-e-nau-b-nau ka karishma tha aur hi
main apna sa usool bana dekhta raha

lauh-o-qalam ki khair-segaali ke vaaste
sheeraaza-e-nuzool bana dekhta raha

bante hi mit gaya tha khabar hi na ho saki
main naqsh ko fuzool bana dekhta raha

chutki se badh ke tha na hajm phir bhi main naved
aameze mein hulool bana dekhta raha

पानी शजर पे फूल बना देखता रहा
और दश्त में बबूल बना देखता रहा

अय्याम के ग़ुबार से निकला तो देर तक
मैं रास्तों को धूल बना देखता रहा

तू बाज़ुओं में भर के गुलाबों को सो रही
मैं भी ख़िज़ाँ का फूल बना देखता रहा

कोंपल से एक लब से फ़रामोश हो के मैं
किस गुफ़्तुगू में तूल बना देखता रहा

बादा-कशों के ख़ूँ से छलकता था मय-कदा
ख़मियाज़ा-ए-मलूल बना देखता रहा

पिछले खंडर से अगले खंडर तक था इंतिज़ार
मैं आत्मा की भूल बना देखता रहा

नाम-ओ-नुमूद हफ़्त-जिहत सौंप कर मुझे
सूरज धनक में धूल बना देखता रहा

था सब्ज़ा-ए-कशीदा दरख़्तों के दरमियाँ
ना-क़ाबिल-ए-क़ुबूल बना देखता रहा

तज्सीम-ए-नौ-ब-नौ का करिश्मा था और ही
मैं अपना सा उसूल बना देखता रहा

लौह-ओ-क़लम की ख़ैर-सेगाली के वास्ते
शीराज़ा-ए-नुज़ूल बना देखता रहा

बनते ही मिट गया था ख़बर ही न हो सकी
मैं नक़्श को फ़ुज़ूल बना देखता रहा

चुटकी से बढ़ के था न हजम फिर भी मैं 'नवेद'
आमेज़े में हुलूल बना देखता रहा

  - Afzaal Naveed

Shajar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzaal Naveed

As you were reading Shayari by Afzaal Naveed

Similar Writers

our suggestion based on Afzaal Naveed

Similar Moods

As you were reading Shajar Shayari Shayari