ab ke ham bichhde to shaayad kabhi khwaabon mein milen | अब के हम बिछड़े तो शायद कभी ख़्वाबों में मिलें

  - Ahmad Faraz

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi khwaabon mein milen
jis tarah sukhe hue phool kitaabon mein milen

dhoondh ujde hue logon mein wafa ke moti
ye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon mein milen

gham-e-duniya bhi gham-e-yaar mein shaamil kar lo
nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon mein milen

tu khuda hai na mera ishq farishton jaisa
dono insaan hain to kyun itne hijaabo mein milen

aaj ham daar pe kheeche gaye jin baaton par
kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon mein milen

ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz
jaise do shakhs tamannaa ke saraabo mein milen

अब के हम बिछड़े तो शायद कभी ख़्वाबों में मिलें
जिस तरह सूखे हुए फूल किताबों में मिलें

ढूँढ उजड़े हुए लोगों में वफ़ा के मोती
ये ख़ज़ाने तुझे मुमकिन है ख़राबों में मिलें

ग़म-ए-दुनिया भी ग़म-ए-यार में शामिल कर लो
नशा बढ़ता है शराबें जो शराबों में मिलें

तू ख़ुदा है न मिरा इश्क़ फ़रिश्तों जैसा
दोनों इंसाँ हैं तो क्यूँ इतने हिजाबों में मिलें

आज हम दार पे खींचे गए जिन बातों पर
क्या अजब कल वो ज़माने को निसाबों में मिलें

अब न वो मैं न वो तू है न वो माज़ी है 'फ़राज़'
जैसे दो शख़्स तमन्ना के सराबों में मिलें

  - Ahmad Faraz

I love you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faraz

As you were reading Shayari by Ahmad Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faraz

Similar Moods

As you were reading I love you Shayari Shayari