basti se chand roz kinaara karunga main
vehshat ko ja ke dasht mein maara karunga main
vaise to ye zameen mere kaam ki nahin
lekin ab is ke saath guzaara karunga main
shaayad ki is se murda samundar mein jaan aaye
sehra mein kashtiyon ko utaara karunga main
manzar ka rang rang nigaahon mein aayega
ik aise zaaviye se nazaara karunga main
ai meherbaan ajal mujhe kuchh waqt chahiye
jab jee bhara to tum ko ishaara karunga main
बस्ती से चंद रोज़ किनारा करूँगा मैं
वहशत को जा के दश्त में मारा करूँगा मैं
वैसे तो ये ज़मीन मिरे काम की नहीं
लेकिन अब इस के साथ गुज़ारा करूँगा मैं
शायद कि इस से मुर्दा समुंदर में जान आए
सहरा में कश्तियों को उतारा करूँगा मैं
मंज़र का रंग रंग निगाहों में आएगा
इक ऐसे ज़ाविए से नज़ारा करूँगा मैं
ऐ मेहरबाँ अजल मुझे कुछ वक़्त चाहिए
जब जी भरा तो तुम को इशारा करूँगा मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Khayal
our suggestion based on Ahmad Khayal
As you were reading Festive Shayari Shayari