kis jhutpute ke rang ujaalon mein aa gaye | किस झुटपुटे के रंग उजालों में आ गए - Ahmad Mushtaq

kis jhutpute ke rang ujaalon mein aa gaye
tukde shafaq ke dhoop se gaalon mein aa gaye

afsurdagi ki lay bhi tire qahqahon mein thi
patjhad ke sur bahaar ke jhaalon mein aa gaye

ud kar kahaan kahaan se parindon ke qafile
na-deeda paaniyon ke khayaalon mein aa gaye

husn-e-tamaam the to koi dekhta na tha
tum dard ban ke dekhne waalon mein aa gaye

kaante samajh ke ghaas pe chalta raha hoon main
qatre tamaam os ke chhaalon mein aa gaye

kuch rat-jage the jin ki zaroorat nahin rahi
kuch khwaab the jo mere khayaalon mein aa gaye

किस झुटपुटे के रंग उजालों में आ गए
टुकड़े शफ़क़ के धूप से गालों में आ गए

अफ़्सुर्दगी की लय भी तिरे क़हक़हों में थी
पतझड़ के सुर बहार के झालों में आ गए

उड़ कर कहाँ कहाँ से परिंदों के क़ाफ़िले
नादीदा पानियों के ख़यालों में आ गए

हुस्न-ए-तमाम थे तो कोई देखता न था
तुम दर्द बन के देखने वालों में आ गए

काँटे समझ के घास पे चलता रहा हूँ मैं
क़तरे तमाम ओस के छालों में आ गए

कुछ रत-जगे थे जिन की ज़रूरत नहीं रही
कुछ ख़्वाब थे जो मेरे ख़यालों में आ गए

- Ahmad Mushtaq
0 Likes

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mushtaq

As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mushtaq

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari