kaali raat ke seharaaon mein noor-sipara likkha tha
jis ne shehar ki deewaron par pehla na'ra likkha tha
laash ke nanhe haath mein basta aur ik khatti goli thi
khoon mein doobi ik takhti par ghain-ghubaara likkha tha
aakhir ham hi mujrim thehre jaane kin kin jurmon ke
fard-e-amal thi jaane kis ki naam hamaara likkha tha
sab ne maana marne waala dahshat-gard aur qaateel tha
maa ne phir bhi qabr pe us ki raaz-dulaara likkha tha
काली रात के सहराओं में नूर-सिपारा लिक्खा था
जिस ने शहर की दीवारों पर पहला ना'रा लिक्खा था
लाश के नन्हे हाथ में बस्ता और इक खट्टी गोली थी
ख़ून में डूबी इक तख़्ती पर ग़ैन-ग़ुबारा लिक्खा था
आख़िर हम ही मुजरिम ठहरे जाने किन किन जुर्मों के
फ़र्द-ए-अमल थी जाने किस की नाम हमारा लिक्खा था
सब ने माना मरने वाला दहशत-गर्द और क़ातिल था
माँ ने फिर भी क़ब्र पे उस की राज-दुलारा लिक्खा था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Salman
our suggestion based on Ahmad Salman
As you were reading Qabr Shayari Shayari