idhar dekhte hain udhar dekhte hain | इधर देखते हैं उधर देखते हैं

  - Ahmad Sidiqi

idhar dekhte hain udhar dekhte hain
hamesha tiri raahguzaar dekhte hain

safar hi nahin khatm hota hamaara
museebat main ham apna ghar dekhte hain

agarche hamaara nateeja na nikla
magar feel hone ka dar dekhte hain

barsta raha raat bhar ghar mein paani
khuda teri rahmat ka dar dekhte hain

hasi mujh ko aati hai teri hasi par
ukh'uvvat ko zer-o-zabar dekhte hain

tumhaari mohabbat jo haasil hui hai
duaon ka is mein asar dekhte hain

samundar ki lahren sunaati hain ahmad
tah-e-aab laal-o-guhar dekhte hain

इधर देखते हैं उधर देखते हैं
हमेशा तिरी रहगुज़र देखते हैं

सफ़र ही नहीं ख़त्म होता हमारा
मुसीबत मैं हम अपना घर देखते हैं

अगरचे हमारा नतीजा न निकला
मगर फ़ेल होने का डर देखते हैं

बरसता रहा रात भर घर में पानी
ख़ुदा तेरी रहमत का दर देखते हैं

हँसी मुझ को आती है तेरी हँसी पर
उख़ुव्वत को ज़ेर-ओ-ज़बर देखते हैं

तुम्हारी मोहब्बत जो हासिल हुई है
दुआओं का इस में असर देखते हैं

समुंदर की लहरें सुनाती हैं 'अहमद'
तह-ए-आब लाल-ओ-गुहर देखते हैं

  - Ahmad Sidiqi

Paani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Sidiqi

As you were reading Shayari by Ahmad Sidiqi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Sidiqi

Similar Moods

As you were reading Paani Shayari Shayari