us jaisa yahan koi bhi fankaar nahin hai | उस जैसा यहाँ कोई भी फ़नकार नहीं है - Ahmad Sidiqi

us jaisa yahan koi bhi fankaar nahin hai
qaateel hai magar haath mein talwaar nahin hai

uthoongaa magar subh to hone de mu'azzin
sone ke liye neend bhi darkaar nahin hai

yun hai ki faqat dekh ke hoti hai tasalli
ma'amooli koi naqsh ya deewaar nahin hai

dard-e-dil-e-majrooh koi samjhe to kaise
is shehar mein mujh sa koi beemaar nahin hai

haathon mein liye haath guzarte rahe ham do
phir ja ke hua ilm mujhe pyaar nahin hai

tasveer tiri aankh milaati rahi din bhar
par haath milaane ko ye taiyyaar nahin hai

उस जैसा यहाँ कोई भी फ़नकार नहीं है
क़ातिल है मगर हाथ में तलवार नहीं है

उठूँगा मगर सुब्ह तो होने दे मुअज़्ज़िन
सोने के लिए नींद भी दरकार नहीं है

यूँ है कि फ़क़त देख के होती है तसल्ली
मा'मूली कोई नक़्श या दीवार नहीं है

दर्द-ए-दिल-ए-मजरूह कोई समझे तो कैसे
इस शहर में मुझ सा कोई बीमार नहीं है

हाथों में लिए हाथ गुज़रते रहे हम दो
फिर जा के हुआ इल्म मुझे प्यार नहीं है

तस्वीर तिरी आँख मिलाती रही दिन भर
पर हाथ मिलाने को ये तय्यार नहीं है

- Ahmad Sidiqi
0 Likes

Tasweer Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Sidiqi

As you were reading Shayari by Ahmad Sidiqi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Sidiqi

Similar Moods

As you were reading Tasweer Shayari Shayari