jo ye kehta tha mohabbat ke bina kuchh bhi nahin | जो ये कहता था मोहब्बत के बिना कुछ भी नहीं

  - Faiz Ahmad

jo ye kehta tha mohabbat ke bina kuchh bhi nahin
uski nazaron mein mohabbat sa dikha kuchh bhi nahin

jiski khaatir main khushi se hua itna barbaad
vo samajhta hai ke mujh se to nafaa kuchh bhi nahin

le gai mujh se chura ke mujhe vo saath apne
uski yaadon ke siva mujhmein raha kuchh bhi nahin

dil se cheekhoon ke zabaan se bhala kya faayda ho
uske nazdeek mohabbat ki sada kuchh bhi nahin

uske aane se hi uthati thi bahaaron mein mahek
bina uske to meri baad-e-saba kuchh bhi nahin

jiske hone se mayassar tha mujhe saara jahaan
vo gai kya ke mere paas bacha kuchh bhi nahin

ek pal ke liye vo ruk bhi agar jaaye to
zindagi phir meri ik pal ke siva kuchh bhi nahin

jo kare hai to tadpata phire hai hijr mein bas
sach kahein faiz mohabbat mein rakha kuchh bhi nahin

जो ये कहता था मोहब्बत के बिना कुछ भी नहीं
उसकी नज़रों में मोहब्बत सा दिखा कुछ भी नहीं

जिसकी खा़तिर मैं ख़ुशी से हुआ इतना बर्बाद
वो समझता है के मुझ से तो नफा़ कुछ भी नहीं

ले गई मुझ से चुरा के मुझे वो साथ अपने
उसकी यादों के सिवा मुझमें रहा कुछ भी नहीं

दिल से चीख़ूँ के ज़बाँ से भला क्या फ़ायदा हो
उसके नज़दीक मोहब्बत की सदा कुछ भी नहीं

उसके आने से ही उठती थी बहारों में महेक
बिना उसके तो मिरी बाद-ए-सबा कुछ भी नहीं

जिसके होने से मयस्सर था मुझे सारा जहांँ
वो गई क्या के मिरे पास बचा कुछ भी नहीं

एक पल के लिए वो रुक भी अगर जाए तो
ज़िन्दगी फिर मिरी इक पल के सिवा कुछ भी नहीं

जो करे है तो तड़पता फिरे है हिज्र में बस
सच कहें 'फ़ैज़' मोहब्बत में रखा कुछ भी नहीं

  - Faiz Ahmad

Khushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad

Similar Moods

As you were reading Khushi Shayari Shayari