aankhen nam hain soorat pe gham taari hai
kis ko ruksat karne ki tayyaari hai
kaun tumhaare dukh mein hissa-daar bane
sab ka apna dukh hai aur vo jaari hai
maatam karne waale logon mein dekho
kitna gham hai aur kitni gham-khwari hai
sab ke is mein apne apne khaane hain
zehan puraani yaadon ki almaari hai
ro dene mein kitni mehnat lagti hai
hans dena to chehre ki fankaari hai
aasaani se apni baatein kah dena
ye bhi achhi khaasi ik dushwaari hai
आँखें नम हैं सूरत पे ग़म तारी है
किस को रुख़्सत करने की तय्यारी है
कौन तुम्हारे दुख में हिस्सा-दार बने
सब का अपना दुख है और वो जारी है
मातम करने वाले लोगों में देखो
कितना ग़म है और कितनी ग़म-ख़्वारी है
सब के इस में अपने अपने ख़ाने हैं
ज़ेहन पुरानी यादों की अलमारी है
रो देने में कितनी मेहनत लगती है
हँस देना तो चेहरे की फ़नकारी है
आसानी से अपनी बातें कह देना
ये भी अच्छी ख़ासी इक दुश्वारी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aisha Ayyub
our suggestion based on Aisha Ayyub
As you were reading Mazdoor Shayari Shayari