bheed hai bar-sar-e-bazaar kahi aur chalen
aa mere dil mere gham-khwaar kahi aur chalen
koi khidki nahin khulti kisi baagheche mein
saans lena bhi hai dushwaar kahi aur chalen
tu bhi maghoom hai main bhi hoon bahut afsurda
dono is dukh se hain do-chaar kahi aur chalen
dhoondte hain koi sarsabz kushaada si fazaa
waqt ki dhund ke us paar kahi aur chalen
ye jo phoolon se bhara shehar hua karta tha
us ke manzar hain dil-aazaar kahi aur chalen
aise hangaama-e-mahshar mein to dam ghutta hai
baatein kuchh karne hain is baar kahi aur chalen
भीड़ है बर-सर-ए-बाज़ार कहीं और चलें
आ मिरे दिल मिरे ग़म-ख़्वार कहीं और चलें
कोई खिड़की नहीं खुलती किसी बाग़ीचे में
साँस लेना भी है दुश्वार कहीं और चलें
तू भी मग़्मूम है मैं भी हूँ बहुत अफ़्सुर्दा
दोनों इस दुख से हैं दो-चार कहीं और चलें
ढूँडते हैं कोई सरसब्ज़ कुशादा सी फ़ज़ा
वक़्त की धुँद के उस पार कहीं और चलें
ये जो फूलों से भरा शहर हुआ करता था
उस के मंज़र हैं दिल-आज़ार कहीं और चलें
ऐसे हँगामा-ए-महशर में तो दम घुटता है
बातें कुछ करनी हैं इस बार कहीं और चलें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aitbar Sajid
our suggestion based on Aitbar Sajid
As you were reading Baaten Shayari Shayari