qalam ho jaaye sar parwa na karna | क़लम हो जाए सर पर्वा न करना - Ajiz Matvi

qalam ho jaaye sar parwa na karna
ameer-e-shahr ko sajda na karna

kiya tark-e-ta'alluq tum ne behtar
magar us ka kahi charcha na karna

mujhe turbat mein az-had aafiyat hai
maseeha ab mujhe zinda na karna

badhaata hai kasal doori-e-manzil
khayal-e-wusa't-e-sehra na karna

kathin ho jaayegi manzil-shanaasi
kabhi maskh un ka naqsh-e-paa na karna

mohabbat mein ye hai dastoor-e-duniya
zara si baat ko ifsha na karna

ye hai ab ik tareeqa guftugoo ka
kisi ke saamne lab vaa na karna

tumhaare munh pe vo sach bol dega
muqaabil apne aaina na karna

munaasib hai ki aajiz tauba kar lo
na tazheek-e-may-o-may-khaana karna

क़लम हो जाए सर पर्वा न करना
अमीर-ए-शहर को सज्दा न करना

किया तर्क-ए-तअ'ल्लुक़ तुम ने बेहतर
मगर उस का कहीं चर्चा न करना

मुझे तुर्बत में अज़-हद आफ़ियत है
मसीहा अब मुझे ज़िंदा न करना

बढ़ाता है कसल दूरी-ए-मंज़िल
ख़याल-ए-वुसअ'त-ए-सहरा न करना

कठिन हो जाएगी मंज़िल-शनासी
कभी मस्ख़ उन का नक़्श-ए-पा न करना

मोहब्बत में ये है दस्तूर-ए-दुनिया
ज़रा सी बात को इफ़्शा न करना

ये है अब इक तरीक़ा गुफ़्तुगू का
किसी के सामने लब वा न करना

तुम्हारे मुँह पे वो सच बोल देगा
मुक़ाबिल अपने आईना न करना

मुनासिब है कि 'आजिज़' तौबा कर लो
न तज़हीक-ए-मय-ओ-मय-ख़ाना करना

- Ajiz Matvi
0 Likes

Lab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajiz Matvi

As you were reading Shayari by Ajiz Matvi

Similar Writers

our suggestion based on Ajiz Matvi

Similar Moods

As you were reading Lab Shayari Shayari