alag alag taaseeren in ki ashkon ke jo dhaare hain | अलग अलग तासीरें इन की, अश्कों के जो धारे हैं

  - Ajmal Siddiqui

alag alag taaseeren in ki ashkon ke jo dhaare hain
ishq mein tapken to hain moti nafrat mein angaare hain

tum se mil kar khil uthata tha tum se chhoot ke feeka hoon
ai rangrez mere chehre ke saare rang tumhaare hain

garmi ki loo mein tapne ke b'ad hi paani ka hai maza
tujh ko jeetna aasaan tha ham jaan ke tujh ko hare hain

ai purvaai meri khushboo us chaukhat ke dam se hai
tu bhi guzar ke dekh jahaan main ne kuchh lamhe guzaare hain

munh se batao ya na batao tum ham ko dil ki baatein
jaan-e-man ye nain tumhaare ye jaasoos hamaare hain

aisi baat milan mein kab hogi jaisi is pal mein hai
sab ke beech mein main hoon vo hai or khaamosh ishaare hain

tere munh par teri ham ne kabhi na ki taarif zara
likhne baithe to kaaghaz par rakh diye chaand sitaare hain

अलग अलग तासीरें इन की, अश्कों के जो धारे हैं
इश्क़ में टपकें तो हैं मोती, नफ़रत में अंगारे हैं

तुम से मिल कर खिल उठता था, तुम से छूट के फीका हूँ
ऐ रंगरेज़ मिरे चेहरे के सारे रंग तुम्हारे हैं

गरमी की लू में तपने के ब'अद ही पानी का है मज़ा
तुझ को जीतना आसाँ था, हम जान के तुझ को हारे हैं

ऐ पुर्वाई मेरी ख़ुशबू उस चौखट के दम से है
तू भी गुज़र के देख जहाँ मैं ने कुछ लम्हे गुज़ारे हैं

मुँह से बताओ या न बताओ तुम हम को दिल की बातें
जान-ए-मन ये नैन तुम्हारे, ये जासूस हमारे हैं

ऐसी बात मिलन में कब होगी जैसी इस पल में है
सब के बीच में मैं हूँ, वो है ओर ख़ामोश इशारे हैं

तेरे मुँह पर तेरी हम ने कभी न की तारीफ़ ज़रा
लिखने बैठे तो काग़ज़ पर रख दिए चाँद सितारे हैं

  - Ajmal Siddiqui

Masti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajmal Siddiqui

As you were reading Shayari by Ajmal Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Ajmal Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Masti Shayari Shayari