na rooh-e-mazhab na qalb-e-aarif na sha'iraana zabaan baaki
zameen hamaari badal gai hai agarche hai aasmaan baaki
shab-e-guzishta ke saaz o saamaan ke ab kahaan hain nishaan baaki
zabaan-e-shamaa-e-sehr pe hasrat ki rah gai daastaan baaki
jo zikr aata hai aakhirat ka to aap hote hain saaf munkir
khuda ki nisbat bhi dekhta hoon yaqeen ruksat gumaan baaki
fuzool hai un ki bad-dimaghi kahaan hai fariyaad ab labon par
ye vaar par vaar ab abas hain kahaan badan mein hai jaan baaki
main apne mitne ke gham mein naalaan udhar zamaana hai shaad o khandaan
ishaara karti hai chashm-e-dauraan jo aan baaki jahaan baaki
isee liye rah gai hain aankhen ki mere mitne ka rang dekhen
sunoon vo baatein jo hosh udaayein isee liye hain ye kaan baaki
ta'ajjub aata hai tifl-e-dil par ki ho gaya mast-e-nazm-e-'akbar
abhi middle paas tak nahin hai bahut se hain imtihaan baaki
न रूह-ए-मज़हब न क़ल्ब-ए-आरिफ़ न शाइ'राना ज़बान बाक़ी
ज़मीं हमारी बदल गई है अगरचे है आसमान बाक़ी
शब-ए-गुज़िश्ता के साज़ ओ सामाँ के अब कहाँ हैं निशान बाक़ी
ज़बान-ए-शमा-ए-सहर पे हसरत की रह गई दास्तान बाक़ी
जो ज़िक्र आता है आख़िरत का तो आप होते हैं साफ़ मुनकिर
ख़ुदा की निस्बत भी देखता हूँ यक़ीन रुख़्सत गुमान बाक़ी
फ़ुज़ूल है उन की बद-दिमाग़ी कहाँ है फ़रियाद अब लबों पर
ये वार पर वार अब अबस हैं कहाँ बदन में है जान बाक़ी
मैं अपने मिटने के ग़म में नालाँ उधर ज़माना है शाद ओ ख़ंदाँ
इशारा करती है चश्म-ए-दौराँ जो आन बाक़ी जहान बाक़ी
इसी लिए रह गई हैं आँखें कि मेरे मिटने का रंग देखें
सुनूँ वो बातें जो होश उड़ाएँ इसी लिए हैं ये कान बाक़ी
तअ'ज्जुब आता है तिफ़्ल-ए-दिल पर कि हो गया मस्त-ए-नज़्म-ए-'अकबर'
अभी मिडिल पास तक नहीं है बहुत से हैं इम्तिहान बाक़ी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi
our suggestion based on Akbar Allahabadi
As you were reading Hasrat Shayari Shayari